Wednesday, August 12, 2009

Jeevan ke kuch kadve pal.

Zindagi ke har ek pal mein humne auroon ko apna banaya,
Parantu kabhi aisa lagta hai ki, kya kabhi kisine humein apnaya.

Tham si gayi hai meri duniya,
Kabhi inhmein barsti thi hasiyoon ki goliyaan.
Prashno aur jawaboon se mere mann mein pad gayi hai dhuvidha,
Wo deewangi bhi humein kar rahi hai alvida.

Din ke ujaale mein hum so jaate hein, apne ko us dard se door rakne,
Raat ke andhere se milkar aur vichitra ho jaate hein mere sapne.

Shayad ye mere jeevan ke ketaab mein wo kaale panne hein,
Jinhe kabhi dekh kar nami si pad jayengi meri aankhein.

Is waqt ko mein jeena na chahtha,
kash is dil se tapakti aason ko koi samaj pata.

3 comments:

Meeta Jain said...

Koi bhi pal khud se meeta ya kadva nahi hota..Hum use apne mann ke anusaar kadva ya meeta samaj they hein!!
So just with be it for sometime, and may be u will feel better:)

Unknown said...

Good one...I m sure evrybdy goes thru' this.I guess you have not got ur F5 button still repaired to refresh ur memories :P
Lemme think of an alternate method...Hmm........
How abt coding a function?
static void happiness();
:)

Priya said...

Ghar baithkar yehi sochta rahta hai kya tu??padhai kar padhai... sahi kaha kisine...Idle mind is Devil's workshop...khali peeli baithenga to aise hi khayaal aayenga na..:) jeevan ke kadwe pal akhir pal hi hote hai jo pal me gayab ho jate hai..samjhe :-)